Urdu Jokes - Roman Urdu Jokes
- Aik daffa bas main cricket team ke kuch khalari safar kar rehy the or apas main lar jhagar rehy the.aik buzargan ki waja se bohot guse main the .jab in se raha na gya to uth kar bole.Allama Iqbal ne such hi kaha tha. Utha ke phenk do gali main bahir Nai tehzeeb ke annde hain gande Aik khalari khara ho kar bola”baba jee Allama Iqbal ne ye us waqt kaha tha jab aap jawan the,hum to us waqt peda hi nahi hoye the.”
- Aik nanna school se ghar aya to ammi se kaha”ammi bhook se pate main dard ho raha hay”. Is ki ammi ne jaldi se khana lagya or kaha”zahir hay pate main kuch ho ga nahi to dard to ho ga” Shaam ko bacha jab homework kar raha tha to bara bhai andar aya or kehne laga”ke ammi sir main bohor dard hay”nanne ne foran kaha zahir hay jab sir main kuch ho ga nahi to sir main dard to ho ga.”
- Ustaad:”shaigrd se, sab bachon ne dood par 2 safon ka mazmon likha hay Or tum ne 2 satron ka……kune? Shagird “janab main ne khalis dood par mazmon likha hay.
- Aik dost(dosre se)main aj ehad kiya hay ke main aynda shart nahi lagaon ga. Dosra dost lekin tum esa nahi kar sako ge. Pehla dost shart laga lo.
- Kisi behri jahaz main kain log safar kar rehy the achanak aik chota sa bacha samandar main ja gira,jahaz main halchal mach gai,thori der bad aik nojawan bachy ko good main liye samandar se nikal aya.logo ne is ki bahadari ki tareef ki. Nojawan bola:”who sab to thek hay magar ye batao,ke muje Dhaka kis ne diya tha.
- Aik admi kabrastan se guzar raha tha .aik kutba nazar aya,jis par likha tha imandar or impaior..nanne kodoo ne kuch der socha or barbarane laga Ajeeb baat likhi hay Ampaior or imantdar …..kya esa ho sakta hay.
- Aik bachy ne apni nani aman se pocha.nanni jan”aap drama artist hain Nanni ne heran ho kar kaha,nahi bete tumhein kis ne kaha. Bacha sadgi se bola……..nanni jan raat ko abu ammi se kah rehy the ke who aa gain hain boria ab ghar main roz roz drame hoa Karen gain.
- Ustaad ne bachon se sawal kiya ke bajat kise kehte hain? Aik shagird ne uth kar kaha,ke janab bajat aik esa tareka hay jis se aap kharch ke bad pareshan hone ki bajaye kharch karne se pehly pareshan hote hain.
- School ke aik talbeilm ne kanteen ke here ko bola kar 10 ropy ka note thama diya. Aap ke liye kya laon. Kuch nahi. To phir aap ne ye tip kune di here ne pocha. Main thori der bad aone doston ke hamrah aaon ga.tum ne kehna hay samose or shammi kabab nahi hain sirf chaye hay.
Urdu Jokes: 1 2 3 4 5 6, 7, 8, 9, 10, 11, 12, 13, 14, 15
Home, More Urdu Jokes