Urdu Quotations - Roman Urdu Quotes

41. gunah se tobah karna wajib hay,lekin gunah se bachna wajibtar hay.
42. bad bakht hay woh shaks jo khud to mar jaye lekin is ka gunah na mare .
43. woh log behtar hain jo dunyia ko akhrat ke liye tark kar dete hain.
44. jo raye bhi kisi ko do is main Khuda ka khoof zaror shamilhona chahye.
45. agar koi mashwara talb kare to mukhlasana or sacha mashwara do.
46. dusman se na to bewafai or na to is ke sath dhoka karna chahye.
47. woh jinno ki nasal se tha is liye is ne apne rab ka hukam nahi mana.
48. hamesha Khuda se hi madat or fatah ki dua mango or usi se hidaro.
49. main ese ghar walon ko pasand nahi karta jo kaein dino ka rizk ek hi din main kharch kar dale.
50. jis par naseat asar na kare ise samaj lena chahye ke is ka dil iman se khali hay.
51. jannat wale log agar tejarat karte to kapre ki tejarat karte.
52. kash main kisi moman ke sene ka ek baal hi hota.
53. jo chezein tumhein Allah ki azab le jane wali hun in se parhez karo.
54. jis cheze ke karne main Allah ne apni rehmat ka wada farmaya hay is ke karne main jaldi karo.
55. jo kom behayai ki janab kadam barhaye gi Allah us kom ko masebaton main mubtala kare ga.
56. insan ko chahye ke woh mare hoye logon se ibrat hasal kare.
57. jis main rone ki takat na ho woh rone walon par rehm hi kiya kare.
58. is din par roo jo teri umar ka guzar gya or is main neki nahi ki.
59. Ae logo!Khuda ke khoof se ro or agar rona na aye to rone ki kosish karo.
60. insan ko har halat main sabar karna chahyeis liye ke sabar hi esi cheze hay jo naik kam karata hay.

 

Quotation Home 1 2 3 4 5 6 7 , Love Quotes

Home