Urdu Stories - Urdu Kahanian - Roman Urdu Stories

Haqeeqi Khushya

Haadi nay Malaeqa ko aik shaadi pay dekha thaa. Pehli nazar main he woh us kay dil ko bhaa gae thee. Us nay faesla ker leya thaa kay woh shaadi Malaeqa say he keray ga. Haadi nay apnay dil ke baat Malaeqa say ke tu Malaeqa kehnay lagi kay un kay khaandaan main love marriages ka rawaj nahi hai. Hum dono ke shaadi namumkin hai.

Haadi nay Malaeqa say raabta phir be khatam nahi keya thaa. Aahista aahista Malaeqa be Haadi say mohabbat kernay lagi thee. Ussay Haadi ke baato say sachae ke khushbu aati thee. Malaeqa ko Haadi aam larko say mukhtalif laga thaa. Woh us say apni mohabbat ka ezhaar aksar kerta reha thaa leaqin woh ussay ke chooti chooti tensions pay baypana pershaan hu jata thaa. Haadi us say apnay ghar kay mahool ke zayadaeh baatain kerta thaa taa kay ussay pata hu kay ussay susraal main kasay rehna.

Haadi kay ghar walo ko Haadi aur Malaeqa kay taaluq ka pata lug gya thaa. Unhu nay Haadi say kaha kay woh us ke apnay khaandan main shaadi keray gay. Woh us larki ka pecha choor day. Haadi kehta thaa kay mohabbat kerna jurm nahi hai. Woh larki mujh say pyar nahi kerti thee. Pehal Haadi nay ke thee. Agher Malaeqa us say shaadi say pehlay he pyar kernay lagi hai tu kya howa? Woh khaandani larki hai. Hum dono apnay ghar walo ke razamandi say shaadi kerna chaahtay hain taa kay shaadi kay baad humaray paas haqeeqi khushya hu. Haqeeqi khushya un dono ku tub he mil sakti hain jub un dono kay saath un kay maa baap ke duain hu ge.

Haadi nay aik shaadi pay Malaeqa ko apni maa say milwaya. Malaeqa say mil ker us ke maa khush howe thee kyoun kay Malaeqa koe oachi larki na thee. Woh bohat sulji howe larki thee aur bari tameez say Haadi ke maa say baat ker re thee. Haadi ko apnay betay ke pasand pasand aaa gae thee. Phir Haadi kay ghar walay us ke shaadi Malaeqa say kernay per raazi hu gay thay.

Aab masla Malaeqa kay ghar walo ko razi kernay ka thaa. Itafaaq say Malaeqa ke bhabhi Haadi ke bari behan ke school main school thee. Haadi nay Malaeqa ke bhabhi say Malaeqa ka apnay bhaee kay liyay haath mana. Malaeqa kay ghar walo nay Malaeqa ke bhabhi ke zamaanat pay yeh rishta ker leya. Youn Haadi aur Malaeqa ke shaadi love aur arrange marriage bun gae.

Aaj Malaeqa aur Haadi barpoor khushgawar azdawaji zindagi guzaar rehay thay. Haadi ke romantic baato main koe kami na aaye thee shaadi kay baad be. Un dono kay paas haqeeqi khushya thee kyoun kay un dono kay saath un kay maa baap ke duain thee.

 

Urdu Stories: Story 1 Story 2, Story 3, Story 4, Story 5, Story 6, Story 7, Story 8, Story 9, Story 10, Story 11, Story 12, Story 13, Story 14, Story 15, Story 16, Story 17, Story 18, Story 19, Story 20, Story 21, Story 22, Story 23, Story 24, Story 25 , Story 26, Story 27, Story 28, Story 29, Story 30, Story 31, Story 32, Story 33, Story 34, Story 35, Story 36, Story 37, Story 38, Story 39, Story 40, Story 41, Story 42, Story 43, Story 44, Story 45, Story 46, Story 47, Story 48, Story 49, Story 50, Story 51, Story 52, Story 53, Story 54, Story 55, Story 56, Story 57, Story 58, Story 59, Story 60, Story 61, Story 62, Story 63

Home , More Stories