Totkay in Urdu about face, mouth, general health and more.
Chehray (face) kay liyay totkay
Aik chay ka chamcha corn flour ko thoray say doodh mein mix kar kay paste bana lain aur chehray per lagain – yeh amal haftay mein du martaba karain , rang gora honay lagay ga aur dhoop say jali hoi jild bhe theek ho jayay gi ..
Monh (mouth) ki badboo door karna
Raat ko aik chutki namal lay kar is mein do katray sarsoo ka teal achi tarahn mila lain ungli say dantoo per khoub achee tarahn say maalain mou ko deela chor dain takay ganda pani nikal jayay .baghar kuli kiyay so jayay pani bilkul nahi lagana daant bhuhat safaid you masooray masboot ho jayay gay .
Payaz kat’tay waqt ankhoon say pani khatam karna
Jinay payaz istamaal karna hoon inn ko raat ko plastic ki thali mein daal kar achee tarhan thali band kar kay fridge mein rakh dain .innhay kattay waqtsay pani nahi aay ga .
Fridge ki badboo khatam karne ka tarika
Agar aap ki fridge mein kisi bhe kisam ki badboo aati ho t aik payali mein sirka daal kar fridge mein rakh dain , badboo khatam ho jayay gi .
Keeray makoroo (insects) ko ghar say baghanay kay liyay totka
Jahan bhe kiray makoray nazar aayn os jagha per kafoor jalaya jayay tu kiyay dubara wahan nazar nahi aayn gay.
Surkh (Red) roshnaee kay dagh dor karnay kay liyay
kapray say surkh roshnaee kay dagh door karnay kay liyay issay dahee say dohain ,
Phone kay dagh saaf karna
Phone kay istamaal say dagh dabhaay par jatain hain phone per safaid spirit daal kar phone ko saaf karain dabhay mit jayay gay …
Hijki roknay kay liyay
Agar app hijki to foran rokna chatay hain tu aik sabs elachi ache tarhan chaba kar nigal leen aur foraz thanda pani ka aik glass pee leen ..
Sar dard Ko roknay lay liyay totka
agar aap say sar mein dard hai tu machli kahaeen kyounkay machli ka tael sir dard ko rokta hai .
Bukhar (fever) k liye totka
Agar aap kp bukhar ho gia hai tu dahee aur shahad kahye..
Chawal aur daal mahfooz karnay kay liyay
Chawal aur daal mein taiz pata daal dain tu chawal aur daal kira lagnay say mahfooz rahay gay .
Aam hazam karna
Aam kha kar agar teen ya char jaman kha liyay jayain tu aam jald hazam ho jata hai .
Paneer ko totnay say bachain
Paneer ko garam pani mein daal kar thori dair rakh dain aur phir is ko kisi bhe cheez mein daal kar pakaeen paneer nahi tottay ga ..
Chapati taza rakhne kay liyay
Chapatiyoun ko daba mein band kartay waqt is mein thori si adrak rakh dain , chapati narm aur taza rahay gi.
Jootay (Shoes) ki polish
Agar aap chatay hain kay aap kay jootay ki palish chamkay tu palish karnay say phalay thora sa sirka mila dain jootay chamak jayay gay ..
