Australia Main Hijrat Kernay Kay Tareqay Aur Qawaed

(Immigration to Australia)

Australia main hijrat mukhtalif qisam kay Visa say ke ja sakti hai. Kaam kernay kay liyay janay walo ka Visa, Karobaar kernay walo kay liyay Visa, Family Visa ju kay agher Australia ka koe muqaami bashinda sponsor keray tu deya jata hai. Panah geero ka Visa aur returning Visa ju kay waapsi ka Visa be kehlaata hai.

Returning Visa 2 qisam ka hota hai. Pehli qisam “ 5 saala waapsi ka bashandey kay liyay Visa” hai. Yeh un Australia kay bashindo ya baahir say aey howay logo kay liyay hai jin ka sayaahat ka Visa hu aur khatam hu gya hu ya honay wala hu. Dosra “ Poranay bashindo ka Visa “ hai. Es visa ko haasil kernay kay liyay yeh qawaed hai kay aap nay apni 18 saal ke ebtadae zindagi kay 9 saal Australia main guzaray hu ya aap nay 3 maah Australia main foaji nokri 19 January, 1981 say pehlay ke hu. Aap ko sponsor jis nay keya agher woh yeh sharaet pori ker sakta hu tu tub be aap ko yeh visa mil sakta.

Panah guzeeno kay liyay 2 qisam kay Visa majood hain. Pehla visa tahafuz kay liyay hai aur dosra Visa temporary tahfuz kay liyay hai. RoS Visa be kuch bashando ko deya jata hai.

Aap Family Visa pay be Australia ja saktay hain. Es kay liyay zaroori hai kay aap ko Australia ka koe bashinda sponsor keray. Es Visa ke bunyaad pay Australia janay kay liyay aap ko 10 saal taak be lug saktay hain. 1 Australian shehri ko saholat de jati hai kay woh apnay waldaen, waldaen kay waldaen, zindagi kay humsafar, behan, bhaee, banjay aur banjeya, batejay aur batejeyo ko Australia bula sakta hai.

Aap Australia main skilled Visa ke bunyaad pay be ja saktay hain. Us kay liyay zaroori hai kay aap ke umer 45 saal taak honi chahyay aur aap ke English be achi honi chahyay. Yeh Visa aesay logo kay liyay behtareen hai ju perhay likhay hain aur Australia main nokri kerna chaahtay hain. Australia main Skilled Visa ke fees Australian Dollar 2,105 hai. Aap ke durkhaast pay 6 say 12 maah kay ander ghoor ker leya jata. Us kay baad aap ko Australia bula leya jata. Agher aap Australia main skilled Visa ke bunyaad pay jana chaahtay hain tu behtar hai kay aap kissi Australian company main apply ker dain. Phir woh company khud he aap ko bula lete hai.

Aap Australia main karobari Visa kay liyay be apply ker saktay hain aur phir baad main Australia hijrat ker saktay hain. Australia main karobari Visa kay liyay apply kernay kay kuch tareqay aur qawaed hain. Aap kay liyay zaroori hota hai kay aap kay paas itna passa hu kay aap Australia main karobaar shoro ker saktay hu. Aap ke English boal chaal be achi honi chaahyay. Es Visa kay liyay 3 say 4 maah kay liyay aap ke darkhaast manzoor ya cancel ke ja sakti hai.

 

Home

Study Abroad: China, Germany, Sweden, USA, UK

Immigration to: USA, UK, Australia, New Zealand, Canada