Canada Main Hijrat

(Immigration to Canada)

Canada main loag dunya ber say hijrat kertay hain. Canada main 5 qisam kay Visa ke bunyaad pay aap hijrat ker saktay hain. Ya tu aap nokri kay liyay jaey. Ya aap ko aap ka koe family member sponsorship pay bulaey. Aap koe kaarobari bunday hain aur Canada karobaar kerna chaahtay hain ya koe sobae tanzeem aap ko bulaey. Akhri option yeh hai kay Quebec kay muntakhib mahaarat walay worker hu.

Agher aap nokri kay liyay apply kertay hain Canada janay kay liyay tu 6 chezain aap ke Canada hijrat ke darkhaast ko manzoor ya cancel kerwa sakti hain. Agher aap Canada nokri kay liyay hijrat kerna chaahtay hain tu aap ke taleem, aap ke English aur French { ju kay Canada ke qoomi zubaanay hain } bolnay ke salaahiyat, aap ka nokri ka majoda tajarba, aap ke umer, aap ke mtaabqat aur aaya aap nay nokri ka bundo bast ker leya hai ya nahi aap kay Visa ko manzoor ya cancel kerwa sakti hain. Canada main nokri kay Visa kay liyay apply kernay kay liyay zaroori hai kay aap kay paas kum az kum 1 saal ka full time nokri kernay ka tajarba hu aur yeh tajarba un 10 saalo kay ander ander ka hu jub aap Visa kay liyay apply kerain.

Sponsorship ka Visa 3 qisam ka hota hai. Ya tu aap kissi aesay shaks ko bolaey jis kay saath aap relation main hu aur saabit kernay kay liyay aap ka ya tu bank account mushtarqa hona chaahyay, ya ghar ya shopping akhathay kerain jis say yeh saabit hu sakay kay aap dono relation man hain.
Aap apnay sharek-e-hayaat ko bula saktay hain apna marriage certificate dekha kay es bunyaad per kay aap dono ke shaadi ko kum az kum 1 saal beet chuka aur aap dono hijrat ya kissi aese majobri ke waja say akathay nahi raeh paey leaqin aab rehna chaahtay hain.

Tesri sorat yeh hai kay aap bachay ko bula lain jis ke umer 22 saal say kum hu. Bacha lay paalak be hu sakta hai.

Dosray rishtay daar ju es cheez kay ehal hai kay aap unhay sponsorship pay bula lain woh hain aap kay waldaen, waldaen kay waldaen, aap kay batejay, batejya, baanjay aur baanjeya ju kay 18 saal say kum umer kay hu ya koe ya koe dosra rishtay daar kissi be umer ka agher aap nay mandarja bala main say kissi koe be sponsor na keya hu.

Agher aap sponsorship pay bulatay hain tu jisay bulain us ko maali support kerna aap ke zimadari hu ge na kay government ke. Tamaam loag ju bolatay hain ya bolaey jatay hain sponsorhship pay un ka tibbi, qanooni aur background ka jaeza leya jata hai.

Karobari Visa pay janay walay logo ko waha kum az kum Canadian Dollar 400,000 ke investment Canada main kerna perti hai. Yeh 3 qisam ka Visa hota hai. Investor, Entrepreneurs { kissi enterprise/company ka maaliq hona } ya self – employment ka hota hai.

 

Home

Study Abroad: China, Germany, Sweden, USA, UK

Immigration to: USA, UK, Australia, New Zealand, Canada