New Zealand Hijrat Kernay Kay Tareqay

(Immigration to New Zealand)

New Zealand main aap 3 qisam kay Visa pay apply ker saktay hain. Pehla Visa Maharat walay workers ka hai. Dosra Visa Family Visa hai aur es main aap ko aap ke family ka koe dosra banda jis kay paas New Zealand ke nationality hu aap ko sponosor kerta. Akhri Visa karobaar aur investment ke category main aaa jata hai.

Agher aap skilled Visa { worker kay toor per haasil kiya janay walay Visa } kay liyay apply kertay hain tu aap ko sub say pehlay apna " experssion of Interest (EOI) " jama kerwana peray ga. Es main aap apnay baray main bunyaadi tafseel jama kerwatay hain. Us kay baad aap ka EOI scan keya jata aur aap ke EOI makhsoos pool main jama kera de jati hai aur us kay baad woh aagay makhsoos branch ko baej de jati hai. Branch aagay aap ke EOI check kerti hai aur aap dawat dete hai kay aap apply kerain.

Phir aap ko apnay documents akathay kernay hotay hain jin main aap ka passport, medical certificate weghaira shaamail hotay hain aur New Zealand rahaesh ekhtayaar kernay kay liyay apply kerna hota. Phir New Zealand main aap ke darkhaast dekhi jati hai aur dekha jata kay approve kerni hai ya nahi. Phir ya tu aap ko New Zealand rahaesh ekhtayar kernay ke ajazat mil jati hai. Ya aap ko “ residence Visa ya permission de jati hai “ aur kaam deya jata hai. Tesri sorat yeh be hai kay aap ke darkhaast kissi waja say reject be ke ja sakti hai. Yeh maraahil sub kisam kay Visa kay liyay aik jasay hain.

Es duraan aap ko 3 jaga passay denay perhtay hain. Pehli fee EOI fee hai ju kay agher aap kaghazaat ke sorat main jama kerwain tu aap ko 500 New Zealand Dollars pay kernay pertay hain. Agher online jama kerwain tu 400 New Zealand Dollars. Agher branch aap ko ajazat day dete hai kay aap apnay documents jama kerwain tu phir aap ko fee pay kerna perti hai. Akhri fee “ Migrant levy “ kehlaati hai. Yeh fund hota hai ju aap ko darkhaast manzoor honay ke sorat main pay kerna perta. Yeh fund bunyaadi toor per beronay mulq say aanay walay logo ke mukhtalif andaaz main mudaded kernay kay liyay istamaal keya jata. 5 saal kay upper logo kay liyay levy fees 300 New Zealand Dollars hai jub kay 5 saal say kum umer logo kay liyay 150 New Zealand Dollars. Yeh tenu fees naqaabil-e-waapsi hain.

New Zealand main apna karobaar kernay walay logo kay liyay 3 qisam kay Visa hain. Pehla Visa Long – Term Business Visa ( LTBV) hai. Yeh Visa 3 saal ka hota hai. Dosra Visa Entrepreneurs ka hota hai aur yeh un logo kay liyay hai ju apni companies kholna chaahtay hain New Zealand ja ker. Tesra Visa “ Active Investors “ ko deya jata ju kay agay mazeed 3 categories main taqseem keya jata. Global investors, professional investors aur general investors.

 

Home

Study Abroad: China, Germany, Sweden, USA, UK

Immigration to: USA, UK, Australia, New Zealand, Canada