England ke hakomat nay aab jadeed tareqay mutaarif kerwaey hain jin kay zeryay banda England main hijrat ker sakta hai. England nay unhay " tiers " ka naam deya aur kuch makhsoos baatain hain ju aap ko hijrat ka paka Visa dila sakti hain ya cancel kerwa sakti hain.
Tier 1 main mahaarat rakhnay walay kaam kernay walay loag, kaarobari loag aur aesay loag ja saktay hain jin ke taleem graduate hai.
Tier 2 main aesay logo kay liyay Visa hai jin ko England main nokri offer ke gae hu.
Tier 3 main makhsoos tadaad main maharat walay kaam kernay walay loag waqti toor pay nokri kay liyay England ja saktay hain.
Tier 4 kay zeryay talb-e-elm ja saktay hain.
Tier 5 kay zeryay nojawan aur waqti mulaazameen ja saktay hain jinhay mukhtalif agreements kay mutaabiq mukhtalif mulqo say nokri mil re hu.
Aap ke taleem, English bolnay ke salaahiyat, aap ke umer aur tajarba aap kay Visa pay gehra asar rakhta agher aap en tiers kay zeryay England hijrat kerna chaahtay hain.
Agher aap apni biwi ya khaawand ko England bulana chaahtay hain leaqin 4 saal say kum arsa akathay rehay hain tu aap ko 2 saal England main akathay rehnay kay baad paka visa mil jaey ga. Agher aap 4 saal pehlay say he akathay raeh chukay hu tu England main foran ja ker aap pakay visa kay liyay apply ker saktay hain. Agher aap visitng visa pay England gay hu tu aap es sorat main apnay humsafar ya mehboob kay saath rehnay kay liyay pakay visa pay apply nahi ker saktay.
Aap England main hijrat kay liyay batoori writer, post graduate doctor ya dentist, actor ya actress, business man.
Agher aap paka visa pay apply kerna chaahtay hain England aur waha pehlay say he raeh rehay hain tu makhsoos sharaet aap ko pori kerna hu ge aur us kay baad aap hamesha hamesha kay liyay England main qanooni toor pay hijrat ker saktay hain.
Sub say pehli shart yeh hai kay aap England main kum uz kum 14 saal jaez ya najaez tareqay say rehay hu. Aap England say baahir 6 maah kay lagaatay arsay say zayadaeh daer kay liyay England say baahir na gay hu. 14 saalo kay qul waqt main aap 18 maah say zayadaeh England say baahir na rehay hu. Aap jub be England say baahir gay hu tu kissi thoas waja kay saath gay hu aur es baat ke zamaanat day kay gay hu kay aap waapis loat kay zaroor aey gay.
Agher aap yeh sharaet pori ker day tu aap ko England main paka visa mil sakta aur baad main aap sponosor visa pay apnay ghar walo ko be bula saktay hain.
Study Abroad: China, Germany, Sweden, USA, UK
Immigration to: USA, UK, Australia, New Zealand, Canada