Bohat say loag aab America ke bajaey Cheen perhna pasand kertay hain. Es ke bunyadi waja yeh hai kay Cheen ke purani saqafat aaj be zinda hai. Waha kay loag apni haqeeqi rasmo rawaj ko aaj be nae bolay hain aur un per amal kertay hain. Cheen main perhnay ka aik eham masla yeh hai kay waha zayadaeh ter school, colleges aur universities cheeni zuban main he hain. Waha lectures zayadaeh ter colleges main english nahi bul kay cheeni zuban main diyay jatay hain.
Yeh baat itna bara masla nahi hai kyoun kay cheeni zuban shoro shoro main thoori mushkil lagti hai leaqin bohat jald loag es ko sekh jatay hain. Pichlay chund berso say loag aab doctor bunay apnay bacho ko America nahi bul kay Cheen bejtay hain.
Cheen main baahir say aey howay taalb-e-elmu ko zayadaeh saholeyaat de jati hain aur un kay mazhabi aur saqafati juzbat ke qadar ke jati hai. Cheen ke government nay kuch kawaneen bana rakhay hain baahir say aanay walay taalb-e-elmo kay kiyay jin main say chund mundaraja zael hain:
1) Cheen main kissi be baahir kay mulq say aey howay taalb-e-elum ko ajaazat nahi kay woh apni taleem kay duraan koe be nokari ya karobaar keray. Taahum, bayak waqt taleem aur nokri ke saholat taalb-e-elmu ko de jati hai un kay makhsoos taleemi adaray kay qawaneen kay motabaq.
2) Baronay mulq say aey howay taalb-e-elmu ko saholat de jati hai kay woh campus kay ander ya campus say baahir rahaesh pazeer hu saktay hain rahaesh say mutalqa qawaneen ke paerwi main.
3) Baronay mulq say aey howay tulba kay jazbaat ke qadar ke jati hai aur woh apnay campus main makhsoos qoomi tehwaar qoomi jazbay kay saath mana saktay hain.
4) Baahir say aey howay talba sayaasi sergermyo main hisa nahi lay saktay ulbutta apni koe tanzeem bana saktay hain jis main baronay mulq say aey howay talba shaamil hu saktay hain. Leaqin aese tanzeemi mulqi qawaneen ke khalaaf weri nahi ker sakti.
5) Agher taalb-e-elm 6 maah say zaed arsay kay liyay taleem haasil kernay ja ray hu Cheen tu unhay “ X “ Visa banwana perta hai jub kay woh talba ju 6 maah say kum arsay kay liyay kuch perhnay ja ray hu tu unhay “ F “ Visa bunwana perta hai.
Cheen main baronay mulq say aanay walay talba kay saath Cheeni mukamal taawun kertay hain aur unhay tamaam saholeyat de jati hain jin ke unhay zarorat hu sakti hai. Cheen main semester classes, winter classes, summer classes, medical education, engineering education aur baaqi tamaam qisam ke taleem haasil kernay ke saholat dunya ber kay taalb-e-elmo ko de jati hain.
Study Abroad: China, Germany, Sweden, USA, UK
Immigration to: USA, UK, Australia, New Zealand, Canada