Germany Aur Beronay Mulq Kay Talb-e-Elm

(Higher Studies in Germany)

Germany, ju kay shaero aur philosophers ka mulq qaraar deya jata hai. Waha beyshumar bachay dunya bur say aala taleem kay liyay jatay hain. Germany ka asool hai kay waha lectures sirf German zubaan main diyay jatay hain. Bamushkil chand aik private edaray miltay hain ju kay English zubaan main talb-e-elmo ko perhatay hain.

Germany main kissi school, college ya university main apply kerna hu tu us kay liyay zaroori hai kay aap pehlay apnay pichlay certificates jama kerwain jin kay mutaabiq aap pichli jamaato main pass hu. Phir aap ka German zuban ka test leya jata aur ju usay pass ker lay tu usay Germany main perhnay ke ajazat de jati hai.

Beronay mulq kay talb-e-elmo kay liyay special courses hotay hain German zuban kay jin kay duraan bacho ko train keya jata hai aur talb-e-elm bohat jald German sekh jatay hain.

Germany main her field ke taleem de jati hai maslun medical, law, dentist, engineering, applied art and design, accounting aur controlling, Applied IT – Security, Andewandte Environmental Sciences, Business aur Finance, Pedagogic Art, Biomedical Engineering, Computational Engineering, Creative Direction, Hotel & Tourism Management, Insurance Right, Air aur Space Technology, Creation, Art aur Media, Basic Stucco Assessment aur dosri bohat see bachelor aur master degrees program talb-e-elmo ko offer kiyay jatay hain.

Beronay mulq say aanay walay talb-e-elmo ko 3 qisam kay visa diyay jatay hain. Pehla visa hota hai German zuban sekhnay ka Visa. Dosra Visa 3 maah ka hota aur aesay talba ko deya jata jin ka abhi admission na howa hu kissi German taleemi adaray main. Jub univeristy approve ker day tu talb-e-elm ko aik saal ka Student Visa mil jata.

“ Puranay High – School Gragduate” main daakhlay 31st May taak Germany main hotay hain aur yeh schools “ Central Office for the Assignment of Study Places, ZVS { Zentralstelle für die Vergabe von Studienplätzen German zubaan main} kay mutaahat hotay hain. Woh courses ju university kay paband hotay hain un kay daakhlay 15th July taak bund hu jatay hain. Taahum, ju courses university kay paband na hu un kay daakhlay September ke 15 taak band hotay hain.

Germany main dual courses be talb-e-elmo ko offer kiyay jatay hain. Dual courses kay 2 hisay hotay hain. Aik hisa, theoretical term ka hota hai jis kay duran talb-e-elm apnay makhsoos taleemi adaray main perhtay hain. Jub kay dosra hissa practical term ka hota hai jis kay duran talb-e-elmo ko company main jana hota hai practical kay liyay.

Table-e-elmo ka tankha de jati hai practical term kay duraan aur youn talb-e-elm maali masael say do chaar nahi hotay. Baad main kuch companies agher talb-e-elm achi kaargirdagi ka muzahira kerta reha hu practical kay duran tu usay paki nokri day dete hain aur Visa be. Youn baronay mulq say gay howay talb-e-elm taleem mukamal honay kay bawajood Germany main he raeh saktay hain.

 

Home

Study Abroad: China, Germany, Sweden, USA, UK

Immigration to: USA, UK, Australia, New Zealand, Canada