Sweden Say Aala Taleem Haasil Kernay Ka Berhta Howa Rujhaan

(Higher Studies in Sweden)

Sweden aik pur sakoon Magharbi mulq hai. Es baat ka mushaahida keya gya hai kay pichlay chund berso say Sweden say aala taleem haasil kernay ka rujhaan berhta ja reha hai. Es ke aik ehum waja yeh hai kay Sweden ka taleemi mayaar bohat aala aur dosri waja yeh hai kay waha ka mahool pur aman hai.

Sweden maahirana andaaz main design ke howe amaarto ka mulq hai. Dunya main sub say zayadaeh jadeed technology ke mudadde say tameer ke gae amaartain Sweden main hain. Sweden main dunya bur say loag aaa ker basay howay hain. Es liyay waha mukhtalif saqaftain aur fashion paey jatay hain. Sweden aap kay liyay aik ideal mulq hai aala taleem haasil kernay kay liyay agher aap fashion designer ya designing ya construction say munsaliq koe degree haasil kerna chaahtay hain.

Sweden main law, medical, dentist, engineering, business gharz her field ke degree haasil ke ja sakti hai. Sweden main bohat say falaahi adaray funds detay hain. Lahaaza, waha taleem qadray sasti hai. Agher aap taleemi akhrajaat nahi berdaasht ker saktay tu aap apnay taleemi adaaray main bata dain. Aap ko muft taleem haasil kernay ke ajaazat de jaey ge. Beraonay mulq say aanay walay talba kay liyay special funds Sweden main diyay jatay hain.

Sweden main semester system, winter classes, summer classes school, graduate aur post – graduate level taak classes hoti hain. Talb-e-elmo ko saholat de jati hai kay woh apnay merzi say apnay liyay time pasand ker saktay hain kay woh kub admission lena chaahtay hain.

Agher aap Sweden aala taleem haasil kernay jana chaahtay hain tu Sweden kay apnay pasand kay taleemi adaray ka internet say prospectus mangwa lain. Phir aap ko jasay he makhsoos taleemi adaray say koe acha response milay tu foran apnay mulq main kissi agent say raabta keray ju beronay mulq talb-e-elmo ko bijwata hu ya ebassy walo say. Phir aap ko zaroori maraahil aur passay lenay kay baad Visa muhaaya ker deya jata hai.

Sweden main aap ko saholat de jati hai kay agher aap perhae kay saath saath nokri kerna chaahtay hain tu aap ker saktay hain. Waha makhsoos ganto kay liyay rozana nokri pay janay ke ajaazat de jati hai. Agher kissi beronay mulq say aey howay talb-elm ko Sweden kay kissi taleemi adaray ka hostel na pasand hu tu us talb-e-elm ko ajaazat hai kay woh kahi aur be raeh sakta hai.

Sweden main beronay mulq say aik bari tadaad her saal perhnay kay liyay aati hai. Sweden kay muqaami students aur asaataza beronay mulq say aanay walay talb-e-elmo kay saath mukamul taawun kertay hain. Agher aap ko Europe say degree haasil kernay ka shoak hai tu Sweden main chalay jaeyay. “ Noble Prize “ ke ebtada be Europe kay esse mulq say howe thee.

 

Home

Study Abroad: China, Germany, Sweden, USA, UK

Immigration to: USA, UK, Australia, New Zealand, Canada