Pakistan say beyshumaar loag England perhnay kay liyay jatay hain. Es cheez ka mushaahida keya gya hai kay loag sub say zayadaeh baahir perhnay Pakistan say sirf England jatay hain. Es ke sub say eham waja yeh hai kay dunya he mashhoor tareen universities maslun Oxford University, Cambridge University England main hain. Yeh dono universities dunya ke top 10 universities main shumaar hoti hain aur en ka taleem ka standard bohat high hai.
Yeh haqeqat hai kay Pakistan main sirf ameer tareen giranay apnay bacho ko bahir perhanay bejtay hain. Aam shehri kay bus ke baat nahi hai kay woh itne mehngi taleem apnay bacho ko dila sakay. Leaqin aab her banda apnay bacho ko bayronay mulq taleem dilwa sakta. Aab Pakistan kay banks kerza detay hain baronay mulq taleem haasil kernay kay liyay. Aap ko apna admission form dekhana hota bank main aur aap ko kerza day deya jaey ga jitna aap ko perhnay kay liyay chahyay hu ga. Students ke asaani kay liyay unhay saholat de jati hai kay woh jub taleem mukamal ker lain tu woh chahay tu aik he dafa sara kerza waapis kerain. Ya phir her maah jitna dena chahay, utna kisto main detay jaey.
Es saholat ke waja say aab woh loag ju khud fee pay nahi ker saktay, woh be apnay bacho ko England aur baaqi mulko main perhwa saktay hain.
England main saal main 2 dafa admission khultay hain. Aap joun see merzi field main perhna chaahay, aap saal main 2 dafa apply ker saktay hain. 1 session germyo main shoro hota aur dosra session serdyo main shoro hota naey saal kay aghaaz per. Aap ko jis semester ko join kerna asaan lagay, aap apnay liyay woh pasand kerain.
Pakistan main loag aam toor per baronay mulq bachay perhanay agents kay zaryay bejtay hain. Agents apna comission letay hain. Aap ko chahyay kay aap direct apnay bachay England perhnay bejay. Aap internet pay “ study in UK “ likh ker search kerain aur es jasay mukhtalif lafzo say. England kay mukhtalif colleges aur universities ke websites aaa jaey ge. Aap mukhtalif universites aur colleges ke tafseel perhay aur dekhain kay aap koun say subjects main perhna chaahtay hain aur aap koun say college ya university ke fee pay ker paey gay. Aap phir us college ya university ke prospectus mangwa lain. Woh aap ko aap kay bataey howay address per free prospectus send ker day gay. Aap phir form fill ker kay us college ya university kay address per baej day. Phir university ya college jaha aap nay apply keya hu ga, woh aap ko khud bulaey gay. Kharcha aap ka he hu ga leaqin es tarah aap kay agent kay passo ke bachat hu sakti hai.
Youn aap England main aala taleem haasil kernay kay moqo say berpoor faeda utha saktay hain aur Pakistan say aala taleem haasil kernay England ja saktay hain.
Study Abroad: China, Germany, Sweden, USA, UK
Immigration to: USA, UK, Australia, New Zealand, Canada