Bohat say loag Pakistan samaet dunya bur say America say aala taleem haasil kernay jatay hain. America say taleem haasil kernay ke bohat see wajohaat hain. Sub say bari waja yeh hai kay America kay tamaam taleemi adaaro ke degree dunya kay her konay main maani jati hai aur aap ko baa asaani nokri mil jati hai.
Dosri ahum waja yeh hai kay waha baqaeda research aur jadeed technology distayaab hai aur talb-e-elmo ko mukamal azadi haasil hoti hai kay woh en saholeyaat say faeda uthain. Aap chaahay science kay talb-e-elm hu ya na hu, aap ko sekhaaya jata hai jadeed technology kay baray taa kay aap mustaqbil main en say faeda uthaa sakain. Graduate level pay research kerna zaroori hai America main aur tub aap researcher kay toor per kahi nokri be ker saktay hain. Es ka faeda yeh hota hai kay youn aap apnay taleemi akhrajaat khud he pooray ker lete hain.
Students ko yeh saholat be de jati hai kay woh chaahay tu part time perh lain chaahay full time. Part time perhnay ka yeh faeda hota kay aap perhnay kay saath saath nokri be ker saktay hain. Pakistan say janay walay beshumaar talb-e-elm youn he kertay hain aur apna kharcha khud uthaa lete hain.
Dunya kay her shobay kay baray America say taleem haasil ke ja sakti hai. Aap ko saholat de jati hai kay aap English dosri markazi zubaan kay toor per rakh saktay hain agher aap ke English achi nahi hai.
America main dunya ber say loag aaa ker basay howay hain aur waha her kesam ke saqafat dekhnay ko milti hai makhsoos jagho main. Jub aap America say aala taleem ka hasool kerna taeh ker chukay hain tu pehlay achi tarah chaan been kerain aap jis mulq kay rahaeshi hain waha kay loag America kay koun say area main sub say zayadaeh hain. Behtar yeh hai kay aap us area main aala taleem kay liyay apply kerain. Es ka faeda yeh hu ga kay waha aap ko perdes main aanay kay bawajood ajnabeyat ka ehsaas nahi hu ga aur apni zuban, nasab aur safaqat kay loag milay gay.
America main summer, winter, semester, seasonal her qisam ke classes hoti hain aur aap joun sa chaahay apnay liyay session muntakhib ker saktay hain aur us kay liyay America main apply ker saktay hain. America say taleem haasil kernay ka sub say bara faeda yeh hai kay aap ko taleem mukamal honay kay foran baad nokri mil jati hai chaahay aap America main hu chaahay apnay watan loat aey taleem mukamal honay kay baad ya kissi aur mulq chalay jaey. Aap ko direct nokri foran mil jati hai bina kissi kisam kay test ko pass kiyay.
Study Abroad: China, Germany, Sweden, USA, UK
Immigration to: USA, UK, Australia, New Zealand, Canada