Infradiat is star ki khasi pehchan hay or har waqt jidat ke liye zindagi ke liye naye pehlon ko samne lane ki kosish karte rehte hain.sochna in ke liye behtareen kasosiat main samar hota hay kune ke who zindagi ko haqaik ki nazar se dekhte hain,yeh ya behato behad ba asar or mazboot kardar ke hote hain ya bilkul is ke mukhalif kune azad tabiyat ke hote hain or zindagi ki pabandio se ghabrana in ke masgal main hota hay.
In ki shakhsiyat ke kayein pehlo hote hain or khud ko chupaye rakhna bhi ib ko pasand nahi hota,zindagi main khud ko in doston se kareeb rakhte hain,aquarius star ki aurtein pur kasish shakhsiyat ki hamil lakin inteha pasand fitrat rakhti hain.tabiyat ke khalaf logon ko bardast karma in ke liye khasa mushkil hota hay.aam tor par taro taza chehre ke malik hoti hain,jaded fashion inhein motasir karte hain,yeh afrad mohabat main damage kef aisle ko tarji dete hain.mohabat main bhi azadi ke kahil hote hain,is liye pabandiya zyada hon to ye la talki ka sa rawayia ikhtyar kar lete hain.achy future ke liye hama waqt mehnat karte hain or in ke liye yeh kehna bilkul darost ho ga key eh pedayshi munzim hote hain.bemarian kam hi un par hamla awar hoti hain,achy dost hote hain par in ko such bolne se koi nahi rok sakta or zyada tareef se sharmindagi mehsos karte hain.
Paise aap ke liye kisi khasi ehmiyat ka hamil nahi hay,aap doston ke sath mil kar ser oh tafreeh ke liye ba asani kharch kar sakte hain.agar ap zyed amdani chahte hain to aap ko kisi se mashwara karne ki zarorat nahi.aap mohabat main azadi chahte hain,aap mohabat ke sath sath dosri sargarmian nahi chor saktein mohabat main dil se zyada damage se faisla karte hain.is liye behter hay ke mohabat karne se pehly aap is se Danishwarana mashwara kar lain ke is shaks se aap ki zehni hum ahngi hay ya nahi.yeh kehna galat ho ga ke yeh afrad pedaishi tor par munzim hote hain hamesha naye naye khyalat ki talash main rehte hain or duniya main aman ka gehwara banana chahte hain.yeh afrad hamesha behter se behter future ki talash main rehte hain.in afrad ki aik khas khasusyat yeh hoti hay ke woo sachai ko patal se bhi dhond nkalne ki kosish karte hain chaye inhein is ke liye kitni hi bari kimat kune na ada karni pare.is star ki hamil aurtein bohot hi pur kasish hoti hain.aquarius aurat ka aik makhsoos mazaj hota hay who na sirf aik pechida mazaj ki aurat hoti hay balke who yeh chahti hi nahi ke is ke mazaj ko samjha jaye.
Yeh aurtein azad or kudh mukhtyar tabiyat ki malik hoti hain.or khuli faza main zindagi guzarna zyada pasand karti hain.yehi waja hay ke in main ser-o-syahat ka zok bhi paya jata hay.
Baz amor yeh afrad apne kamon main itne mashgool ho jate hain ke woo apni family ko hi bhool jate hain.darasal yeh kisi bhi kisam ki pabandion se ghabrate hain,or log in ke mamulat main ang arate hoyed arte hain.yeh sorte hal in ko gair zarori tor par in ko khud mukhtar bana deti hay.or ird gird ke logon ke liye in ke sath rehna mushkil ho jata hay lakin yeh khechao kam ya khatam bhi ho sakta hay agar yeh aapne ander thori si dosron ke liye mohabat peda kare.











