Taurus afrad tabiyatan khamosh azaj or baamal hone hain woo shaista khush iklak or bazok hote hain diyanat dari khaloos or etemad in ki fitrat main shamil hay,woo mustakbil ki mansoba bandi barhe muhtad andaz main karte hain.taurus afrad sabit kadam hote hain,aik aam Taurus fard aram tabiyat hota hay lakin woo jazbati tor par bohot hasas hote hain yehi wajha hay ke jab in ki marzi ke khalaf koi baat ho jaye to is ko sakht na pasand karte hain or is mukhalfat main woo zid par utar ate hain or phir haq or na haq ki inhein koi parwa nahi hoti.taurus afrad ki tabiyat main ujlat pasandi nahi hoti har kaam dhang se or asool ke teht karma pasand karte hain,Taurus afrad khane pine ke shokein hote hain,or woo ala kisaam ke khane khana pasand karte hain isi tarhan woo zindagi ki asashon ki taraf mahil rehte hain,in ke ander mohabat or hamdardi ka jazba paya jata hay.taurus aurtain bohot purkasish hotein hain.taurus aurtein zyada arsy tak hasen-o-jamal rehti hain or hamesha is baatr ka khyal raktein hain ke hasen nazar ayein.taurus aurat apne dushmano ke sath sard mehri ka bartao kerti hain lakin apne doston ke ghar har bore bhale waqt main kaam aatein hain,aap chahtye koi bhi kadam uthaye woo is ki hamaiyat kare gi lakin agar jawab main aap itna hi khaloos na dekha sakein to woo ranjo gham ka shikar ho jayein gain,lakin yeh hasad nahi hay,Taurus aurat yeh pasand nahi karti ke is ki baat ki tardeed ki jaye.khas tor par kisi mehfil main woo ujlat pasandi ko pasand nahi karti.taurus aurat aik mohabat bhara dil rakhi hay or woo chahati hay ke is ko haar waqt mohabat ka yakein dilaya jaye or ese kaam kiye jain jin se mohabat ka izhar hota hay is liye Taurus biwi ya mehbooba hasad bhi ho sakti hay kune ke woo apne shuhar or mehboob ko apni malkiyat bana kar rakhana chahti hay or is liye agar aap ne is ki taraf kisi waqt bhi sard mehri ya beniyazi barti to woo bohot pareshan ho jaye gi ise apne shuhar ki wafadari or shadi ke ehstekam par yakein hota hay is liye umer ke sath sath woo apne shuhar par etemad karti hay,Taurus bewi ghar ko bohot ehmiyat deti hay is main kafayat shayri ka jazba bhi hay or agar is ka shuhar fazool kharchi kare to is ko nagawar guzarta hay.taurus aurat ke shuhar ko chaye ke woo apni bewi par hukam chalane ki bejae apni aat or raye ko narmi or dalayel se samjhaye.
Taurus afarad ka manfi pehlu yeh hay key eh aksar apni takat-o-quat ka galat istamal karte hain or yeh zidi hote hain or apni zid se sarkashi par utar ate hain agar yehi koi kaam na karma chaye to duniya ki koi bhi takat inhein majboor nahi kar sakti in ki zaat ka aik manfi pehlu ye hay key eh inteha pasand hote hain,or intehai had tak tang nazar hasaid or lalchi ho sakte hain,kune ke duniyawi aram ke khwaish mand hote hain har khubsorat cheez ko apne liye makhsos karma chate hain.











