Tarz-e-libas tazah hai ik shakl-e-Ehtejaj
Fashion ke ehtamam se keya kuch ayan nahin
Yeh larkion ka shikwah hai kiun larkiyan hain hum
Larkon ko yeh gila hai woh kiun larkiyan nahin
(Mazahiya/ Funny Urdu Shayari/ Poetry by: Anwar Masood)
Har ik ehed main zinda hai meer ka misra
Kisi se jis ki sadaqat chupi na rahi
Nizam-e-barq liya WAPDA ne hathon main
Phir uske baad chiraghon main roshni na rahi
(Mazahiya/ Funny Urdu Shayari/ Poetry by: Anwar Masood)
Jab bhi chahain murgh kha lete hain doalat-mand
Din ki pabandi nahin mangal ho ya itwar ho
Haan magar muflis ko kab hota hai yeh khana naseeb
Murgh ho bemar ya admi khud bemar ho
(Mazahiya/ Funny Urdu Shayari/ Poetry by: Ataul Haq Qasmi)
Ajab dewar dekhi main ne aaj rastay main
Na kuch dewar ke agay na kuch dewar ke peechay
Baray numnaak hotey hain ‘Anwar’ qehqahay tere
Koi dewar-e-girya hai tere ashaar ke peeche
(Mazahiya/ Funny Urdu Shayari/ Poetry by: Anwar Masood)
Hum iss taqleed-e-afrangi ke hathon
Bohat pamaal ho kar reh gey hain
Hamarah haal abb keya poochtay ho
Faqat naqal ho kar reh gey hain
(Mazahiya/ Funny Urdu Shayari/ Poetry by: Anwar Masood)
Ah barhti huee aee woh “slimming center”
“Ah ko chahye ik umr asar honay takk”
“dieting” khel nahin chand dinon ka begum
Ik sadi chahye kamray ko kamar honay takk
(Mazahiya/ Funny Urdu Shayari/ Poetry by: Anwar Masood)
Apni zoja ke ta’ruf main kaha ik shaks ne
Dil se inka motarif hon, zubani hi nahin
Chaye bhi achi banati hai meri begum magar
Monh bananay main tou inka koi sani hi nahin
(Mazahiya/ Funny Urdu Shayari/ Poetry by: Anwar Masood)
Nursery ka dakhla bhi sarsari matt janye
Apke bachay ko Aflatoon hona chahye
Dosto! English zaroori hai humary wastey
Fail honey ko bhi ik mazmoon hona chahye
(Mazahiya/ Funny Urdu Shayari/ Poetry by: Anwar Masood)
Sunnah hai zindagi imtehan leti hai
Magar yehan tu imtehanon ne zindagi le lee
***